Mai akela aur yeh tanha zindagi,
Phir bhi khush tha main zindagi ke safar me.
Accha lagta tha har ehsaas,
Zaise aasma ho maire paas,
Bhulta tha kya aaj hai aur kya hoga kal,
Bhul jata tha sab kuch bas jeeta tha har pal,
Sochta tha kyun duniya ki sunu,
Jab sine me hai ek alag sa zunoon,
Behti nadi tha main jo milti this sagar me,
Khush tha main zindagi ke safar me,
Phir bhi khush tha main zindagi ke safar me.
Na jane kahan se tum aaye,
Dil ke kone me kab muskaye,
Ab toh na din me na raat me chain hai,
Sab kuch hai magar phir bhi dil baichain hai,
Jane kya ho raha aaj aur kya hoga kal,
Bhul jata hu khud ko, na jip au koi pal,
Soch bhi nap au aur duniya meri kho jati hai,
Ab dil me hai na koi arman na koi junoon,
Jo aas jaga jati hai.
Ruka sagar hi hai mera, tumhari is dagar me,
Khush tha tanha tha jab main zindagi ke safar me,
Phir bhi kuch tha main zindagi ke safar me.