Friday, July 22, 2011

ZINDAGI KI MAJLISE-1

jindagi ki,
majliso me itna,
gumaan kabhi na hua....

har lamha beet gaya,
par abhimaan 
kabhi na hua.....


chalti rahi jindagi
biti hui ,
yaadon ke sahare.....


hum itna tut gaye ki,
ab ye dil,
fir se beimaan na hua......

Tuesday, July 19, 2011

ASHRU: MANAVIYA SWABHAVIKTA

ye kya ashru koi parinaam pranayviyog,
ya manav anusandhan ka koi mahaprayog,
manav mastishq ki chahi anchahi upaj,
ya anjaane hi utpann koi naya yog......


ye neer ki amulya boondein,
ya vyartha sharir apvyay,
kabhi anmol moti samaan jhilmilaye,
kabhi dwesh me naino se manav pida darshaye...
kaisa kaisa ankhon ka pani,
sabki apni alag kahani........


dukh viyog ko karna ho pradarshit, 
sukh aseem ho kisi par anukampit.
kabhi andhero me shwet moti sa chamakta,
kabhi lakhon ki bhid me na pehchana  jata.
dharein kabhi pradarshit kare apni pehchaan,
sukh-dukhsabme samaan roop se chalakta.....


ASHRU PEHCHAAN VYAKTITVA KI,
YAADON KE ASTITVA KI...
NISCHAL PRANI MATRA KI PARIKALPANA,
........................................................................
YA ANTIM PARINATI MANAV VISHWA KI.....

Tuesday, March 15, 2011

DIN GIN KE...

phir se badal rahi hai zindagi,
har mod din gin ke.
jane woh chode huye din wapas kab ayenge ,
phir mod din gin ke...


jindagi ke darmiyan mila wo sab kuch,
kyu sab choda din gin ke,
chale ja rahe hain tanha , 
sab chodh din gin ke......

NAFRAT

zindagi ki majlise ,
aur raho me milti hai,
sabko nafrat.
jane wo kaun hain , 
jo is khubsurat fiza me,
bharte hain nafrat.
hum to chale the faslo 
ke darmiyan ,
mitane nafrat.
par fir bhi mila na
aisa koi apna,
jo saath de mitane ,
me nafrat...