Thursday, December 2, 2010

khush hu kyuki chup tha main

is duniya me na jane kya kya ho raha hai,
phir bhi khush tha main...
kabhi koi apna paraya ho raha hai,
phir bhi khush tha main...
kabhi paraye apne ho kar bhi na ho sake,
phir bhi khush tha main...

puchte hain log ki itni khushi mili kahan se tujhe,
ab na jane kyu chup tha main....
tu insaan hi hai ya koi aur,
ab bhi chup tha main....

jaise jaise log waise hi betartib sawal,
apni chuppi me hi khush tha main....
par kaise samjhaun is duniya ke logon ko,
ki main chup tha isiliye shayad khush tha main.....

No comments:

Post a Comment