Sunday, December 26, 2010

khwab mere


Dekhu jab main kisi ko chahu banna uske jaisa,
Chahu kabhi main bill gaates banna aur kamana paisa….
Par janu na, ki mujhme who baat hai bhi ya nahi,
Jiske hone se banda phunch jata hai kahin ka kahin….
Yaro batao mujhe kaise milega yeh name and fame,
Karu job ya koi business ya khelu koi reality game…..
Log kahe yeh karo, dil chahe who karo, dimag kit oh hai batti gul,
Kya karu kya na karu, janu na kya kabhi payegi meri bhi kismet khul….

Ajkal toh trend hai zamane ke saath chalke chamkane ka,
Par yaro college ka waqt hi toh hota haibehakane ka….
“behka main behka” sun ke behka jaye mera bhi dil,
Asin se puchu kya hai yeh jaadu, mujhe bata kabhi aake toh mujhse mil….
Sochta hu try karu bollywood me, main bhi jaun “chandani chauk se china”,
Par darta hu main ki jo chahu, agar who mil paye na…….

Par karu main kya bharu main kya,
Hu toh main jeb ki tarah dimag se bhi khali,
Par kabhi toh milegi manzil mujhe,
Aur mere ghar bhi manegi khushiyon ki diwali…..

No comments:

Post a Comment